Amazon Daily Quiz Answers

Facebook Se Mobile Recharge Kaise Kare?

Facebook Se Mobile Recharge Kaise Kare?: Dosto Facebook kaafi kathinayio se gujar raha hai fir bhi vo apne bache users ke liye naye features pesh kar raha hai. Facebook ne hal hi me ek naya feature Facebook par chupke se add kiya hai. Ab Facebook Users apne Mobile Phone ko Facebook se recharge kara sakte hai. Social Networking par ye naya feature users ko recharge karna kafi aasaan kar dega. to chaliye dosto aaj ke is post me Facebook se Mobile kaise recharge karte hai ye jaan lete hai.

Facebook Se Mobile Recharge Kaise Kare?

Kaisa Hai Ye Facebook Se Mobile Recharge Ka Option

Dosto Ye naya option mujhe to kaafi pasand aaya hai. Q ki hame alag alag apps recharge ke liye use karne se achha hai ki ham jahapar jyada time bitate hai vahi par hi zat se hamare mobile ka recharge ho jaye. Jab ham Paytm, Freecharge, Mobikwik ya Phone pe jaise apps use karte hai mobile phone ko recharge karne ke liye tab koi na koi problem aa hi jaata hai q ki ye sare apps ke users bhi jyada hai. aise vakt me Facebook se mobile recharge kar ke hamara kaam ban jaye to kaafi achha lagega. Facebook ka ye naya recharge ka feature use karna kafi aasan hai. chaliye aage jaan lete hai ki kaise facebook par phone ko recharge karte hai.

How To Recharge Mobile From Facebook?

Facebook ka ye naya Recharge wala feature kaafi simple aur aasan hai aapko mobile phone ko recharge karne keliye facebook ka koi naya app nahi istall karna padta hai aap facebook ke app ko hi use kar sakte hai apna mobile oprator ka recharge karne ke liye. Ab aapke man me ye sawal aaya hoga ki ham konse konese operator ka recharge facebook se kara sakte hai?, aap india me available sabhi operators ka recharge kara sakte hai jaise ki Airtel, Vodafone, Jio, Idea, BSNL, Telenor,TATA DOCOMO aur MTNL. Facebook se mobile recharge karne ke liye koi bhi charge nahi lagta hai ye nayi suvidha ka aap free me upbhog le sakte hai. Filhaal Facebook Recharge option me sirf mobile telecom operatos hi shamil hai aap DTH aur other bills pay nahi kar sakte lekin jald hi aapko vo bhi fearute update hua dikhai dega.

Facebook Se Mobile Recharge Kaise Kare?

Ab me aapko Facebook ke jariye mobile phone ka recharge kaise karte hai iski puri process batane ja raha hu. aapko me step by step process bataunga taaki aapko recharge karte vakt aasani ho aur koi bhi pareshani ka saamna na karna pade.

Facebook Se Mobile Recharge karne ki step by step process

Steps:

1) Facebook Application ko Playstore me Jakar Update karna hai.

2) Application ko open karke Notification bell ke side me jo Three Horizontal Lines hai uspar TAP karna hai.

 

facebook se mobile recharge

3) Page ko Croll Down karke Mobile Recharge ke option ko search karke uspar TAP karna hai.

 

facebook se mobile recharge

 

4) Naya window open hoga usme RECHARGE NOW is option par TAP karna hai.

facebook se mobile recharge

5) Agali Window me pehle jis Mobile number par recharge karna hai use enter karna hai. Niche Sachi telecom Operator chunkar circle chunana hai uske baad niche Recharge Amount ko dalna hai.(Aap Plans Bhi Browse kar sakte hai.)

6) Saari Jankari fill karne ke baad REVIEW ORDER par TAP karna hai.

facebook se mobile recharge

7) Naye window me aapko apne Credit ya Debit card ke details fill karne hai, details dalne ke baad aapke number par OTP jayega use fill karna aur PLACE ORDER par TAP karna hai. ye saari payment ki process ko pura karne ke baad aapka Recharge sucessful ho jayega.

facebook se mobile recharge

Upar bataye tarike se aap apne facebook se mobile ka recharge aasani se kar saktehai. iske aalava aapka koi swaal ya sujhaav ho to niche comment box me jarur likhna.

Read Also:

BHIM APP OFFER: USERS KO MILEGA 750 RUPEES CASHBACK

Whatsapp Plus apk Download Kaise Kare – Whatsapp Plus 2018

MIUI 9.5 Update for Redmi note 5 Now Rolling Out in India

दोस्तों उम्मीद करता हूँ की आपको “Facebook Se Mobile Recharge Kaise Kare?” ये पोस्ट हेल्पफुल लगी होगी. आपको टेक्नोलॉजी पर ऐसे पोस्ट सबसे पहले पड़ने हो तो हमे facebook पर जरुर लिखे करे और youtube channel को सब्सक्राइब करे. धन्यवाद.

by Team Tophunt

5 thoughts on “Facebook Se Mobile Recharge Kaise Kare?”

Leave a Comment